Saiyaara
Superhit Movie
Directed by Mohit Suri
Music by
Songs: Mithoon, Tanishk Bagchi, Arijit Singh, Sachet-Parampara, Rishabh Kant, Vishal Mishra,Faheem Abdullah, Arslan Nizami
Score: John Stewart Eduri
Produced By Akshaye Widhani

Song List
- Song: Humsafar
- Song: Barbaad Reprise - Female
- Song: Saiyaara Reprise - Female
- Song: Dhun
- Song: Barbaad
- Song: Tum Ho Toh
Song: Humsafar
Song by A. R. Rahman
[Intro: Sachet Tandon]
Meri befikri ki fikar tu
Meri saanson ka hai zikar tu
Hum humqadam se hamraah hue
Ab hamraah se hamnava hue
[Chorus: Sachet Tandon]
Raahon pe teri main jaaun bikhar
Agar saath mere tu hai humsafar
Main na ye sochun hai jaana kidhar
Agar saath mere tu hai humsafar
[Verse 1]
Tere hawaale hona hai maine
Ye aashiqana ishaara hua
Chupke se teri tamanna jagi
Chupke se ye dil aawaara hua
Berang hai wo jeena yahan pe kisi ka
Agar na sahaara hua
[Chorus: Sachet Tandon]
Raahon pe teri main jaaun bikhar
Agar saath mere tu hai humsafar
Main na ye sochun hai jaana kidhar
Agar saath mere tu hai humsafar
[Verse 2: Parampara Tandon]
Ik darr dil mein, dil mushkil mein
Maanu ya na maanu main teri baatein
Ik pal ye bhi lagta hai mujhko
Ye baatein hai chahat ki saugaatein
[Refrain: Sachet Tandon & Parampara Tandon]
Dheerе-dheere tu mere lafzon mеin aaya hai
Tujhko hi to chupke se man mein laaya hai
Dheere-dheere tu mere lafzon mein aaya hai
Tujhko hi to chupke se man mein laaya hai
[Chorus: Sachet Tandon]
Raahon pe teri main jaaun bikhar
Agar saath mere tu hai humsafar
[Instrumental Break]
[Bridge: Parampara Tandon & Sachet Tandon]
Vaada ho, sheesha ho, dhaaga ho, saansein ho
Tute bina wo yu kab tak reh lenge?
Feeke ujaalon ke, khwaabon-khayaalon ke
Jhoothe khilono se kab tak behlenge?
Kaise zakhmon ko bata
Marham ka milta achaanak pata
Ye maan le, chahat duniya mein sabse
Behtar marham hai, yaara
[Chorus: Parampara Tandon & Sachet Tandon]
Haan, raahon pe teri main jaaun bikhar
Agar saath mere tu hai humsafar
Main na ye sochun hai jaana kidhar
Agar saath mere tu hai humsafar
[Outro: Sachet Tandon]
Baaki abhi hai safar, humsafar
Zara der tu saath chal de agar, humsafar
Song: Barbaad Reprise - Female
Song by Shilpa Rao and The Rish
[Intro]
Haa-aa
Haa-aa-aa
Aa-aa-aa, aa-aa-aa-aa-aa
Ho, oh
[Verse]
Teri in baarishon mein behti hi jaun main
Jab tu hai paas mere, khud ko rok na paaun main
Tu jo ye kar raha hai, sehna dushwaar hai
Dil ne to haan kiya hai, hotho pe inkaar hai
[Pre-Chorus]
Ye jo mushkil se dil ko, salaamat rakha
Isme aane du kya tujhko
Toot jaayega dil, phir na jud paayega
Issi baat ka dar hai mujhko
[Chorus]
Ke ho na jaaye pyaar tumse mujhe
Kar dega barbaad ishq mujhe
Ho na jaaye pyaar tumse mujhe
Behad-beshumaar tumse
[Outro]
Haari main, haari main tere saamne
Haari main, haari main mere yaar ve
Main to jal jaani ve teri aag mein
Kar lu barbaadi main tere pyaar mein
Song: Saiyaara Reprise - Female
Song by Irshad Kamil and Shreya Ghoshal
[Intro]
Hmm-mm-mm, hmm-mm-mm
Aa-aa-aa, aa-aa-aa
[Verse]
Main tere kal mein hoon, aaj mein hoon
Main teri saanson ke saaz mein hoon
Aankhein jhuka ke sunle mujhe tu
Main tere dil ki aawaz mein hoon
Tu hausla hai, tu hai iraada
Aadhi main tujhmein, mujhmein tu aadha
Tootoo na main bhi, toote na tu bhi
Main tera sapna, tu mera vaada
[Pre-Chorus]
Haaye, main mar hee jaaun jo tujhko na paaun
Baaton mein teri main raatein bitaun
Hothon pe lamha-lamha hai naam tera, haaye
Tujhko hee gaaun main, tujhko pukaarun
[Chorus]
Saiyaara, tu to badla nahi hai
Mausam zara sa rootha hua hai
Saiyaara, tu to badla nahi hai
Mausam zara sa rootha hua hai
[Outro]
Saiyaara
Saiyaara
Saiyaara
Aa-aa-aa, aa-aa-aa
Song: Dhun
Song by Arijit Singh and Mithoon
[Intro]
Mm-mm
Hm-mm, oh-oh
Oh-oh-oh-oh
Oh-oh-oh-oh, oh-oh
[Verse 1]
Shohratein to nahi hain mili
Naa raees hoon main bada
Jeb mein hai nahi kuch magar
Aas hai jo wo sun le zara
[Chorus]
Tere iss dil ko churaane ke liye
Hai yahi ek dhun
Sanam ko apna banaane ke liye
Hai yahi ek dhun
Hai yahi ek dhun
[Post-Chorus]
Ho-oh, aa-oh-oh
Na-ne-ein-ein
Oh-oh, n-n-n-na-n-na
Ho-oh-oh-oh-oh
Ho-oh-oh-oh
Ho-oh-oh-oh, ho-ho
[Verse 2]
Jab bhi barsaat aaye, palkon mein dhaank lunga
Na kami koi khalegi, tujhe itna pyaar dunga
Chaand-taare le aaun, hai ye to mumkin nahi
Par vaada hai ye kasam se, tere saath main rahunga
Tere saath main rahunga
[Refrain]
Ye main daawa nahi kar raha
Koi Taj Mahal hai mera
Naam ki chand deewarein hain
Jinko hi ghar main kehta raha
[Chorus]
Tere iss ghar ko sajaane ke liye
Hai yahi ek dhun
Sanam ko apna banaane ke liye
Hai yahi ek dhun
Hai yahi ek dhun
[Post-Chorus]
Ho-oh-oh-oh-oh
Ho-oh-oh-oh
Ek dhun
Ho-oh-oh-oh-oh
Ho-oh-oh-oh
Ek dhun
[Outro]
Tere iss dil ko churaane ke liye
Hai yahi ek dhun
Song: Barbaad
Song by Jubin Nautiyal and The Rish
[Intro: Vishal Mishra]
Mm-mm-mm
Mm-mm-mm-mm-mm
[Verse 1: Vishal Mishra]
Inn haathon mein jabse hai aaya yeh haath tumhaara
Jaise dariya ki halchal ko mil jaaye koi kinaara
[Pre-Chorus: Vishal Mishra]
Tumhare sang aawaargi bhi
Aawaargi bhi deti hai jaise sukoon
Tumhare sang har ek lamha
Har ek lamha, yaadein nayi main bunu
[Chorus: Vishal Mishra]
Tum ho toh subah nayi hai, tum ho toh shaamein haseen hain
Ek duniya sapnon si hai, tum ho toh iss pe yakeen hai
Tum ho toh sab achha hai, tum ho toh waqt thama hai
Tum ho toh ye lamha hai, tum ho toh iss mein sadaa hai
[Post-Chorus: Vishal Mishra]
Tum ho toh
Iss lamhe mein sadaa hai
[Verse 2: Vishal Mishra]
Tum mile inn dardon mein raahat ban ke
Tum mile ik sufi ki chahat ban ke
Main kya kahoon, koi lavz hi qaabil nahi hain
Par mujhko itna hai pata
[Pre-Chorus: Vishal Mishra]
Tumhari inn aankhon se saare
Aankhon se saare le lu andhere tere
Meri jaan, abhi baatenge mil ke
Baatenge mil ke saare savere mеre
[Chorus: Vishal Mishra]
Tum ho toh dhoop hai maddham, tum ho toh chhaav hai har dam
Tum ho toh haq mein hai merе aate-jaate yeh mausam
Tum ho toh sab achha hai, tum ho toh waqt thama hai
Tum ho toh yeh lamha hai, tum ho toh iss mein sadaa hai
[Bridge: Hansika Pareek]
Hum, na jaane aise hum kab hanse the
Hum aise hi besabab jee rahe the
Meri yeh duaaein sun li kisi ne
Lagta hai sach mein Khuda hai
Aise toh koi bhi milta kahaan hai
Jaise mujhko tu mila
[Pre-Chorus: Hansika Pareek & Vishal Mishra]
Tumhare sang jo bhi mila hai
Ab ek pal bhi khona nahi hai mujhe
Tumhare sang raaton mein jag ke
Dekhu tumhe, bas sona nahi hai mujhe
[Chorus: Vishal Mishra]
Tum ho toh sab achha hai, tum ho toh waqt thama hai
Tum ho toh yeh lamha hai, haan, iss mein hi toh sadaa hai
[Post-Chorus: Vishal Mishra]
Tum ho toh
Jo tum ho toh, jo tum ho toh
Tum ho toh, tum hi tum hoh
[Outro: Vishal Mishra]
Mm-mm-mm-mm-mm-mm
Mm-mm-mm-mm-mm-mm
Mm-mm-mm-mm-mm-mm-mm
Mm-mm-mm-mm-mm-mm
Song: Tum Ho Toh
Song by Hansika Pareek, Raj Shekhar, and Vishal Mishra
[Intro: Vishal Mishra]
Mm-mm-mm
Mm-mm-mm-mm-mm
[Verse 1: Vishal Mishra]
Inn haathon mein jabse hai aaya yeh haath tumhaara
Jaise dariya ki halchal ko mil jaaye koi kinaara
[Pre-Chorus: Vishal Mishra]
Tumhare sang aawaargi bhi
Aawaargi bhi deti hai jaise sukoon
Tumhare sang har ek lamha
Har ek lamha, yaadein nayi main bunu
[Chorus: Vishal Mishra]
Tum ho toh subah nayi hai, tum ho toh shaamein haseen hain
Ek duniya sapnon si hai, tum ho toh iss pe yakeen hai
Tum ho toh sab achha hai, tum ho toh waqt thama hai
Tum ho toh ye lamha hai, tum ho toh iss mein sadaa hai
[Post-Chorus: Vishal Mishra]
Tum ho toh
Iss lamhe mein sadaa hai
[Verse 2: Vishal Mishra]
Tum mile inn dardon mein raahat ban ke
Tum mile ik sufi ki chahat ban ke
Main kya kahoon, koi lavz hi qaabil nahi hain
Par mujhko itna hai pata
[Pre-Chorus: Vishal Mishra]
Tumhari inn aankhon se saare
Aankhon se saare le lu andhere tere
Meri jaan, abhi baatenge mil ke
Baatenge mil ke saare savere mеre
[Chorus: Vishal Mishra]
Tum ho toh dhoop hai maddham, tum ho toh chhaav hai har dam
Tum ho toh haq mein hai merе aate-jaate yeh mausam
Tum ho toh sab achha hai, tum ho toh waqt thama hai
Tum ho toh yeh lamha hai, tum ho toh iss mein sadaa hai
[Bridge: Hansika Pareek]
Hum, na jaane aise hum kab hanse the
Hum aise hi besabab jee rahe the
Meri yeh duaaein sun li kisi ne
Lagta hai sach mein Khuda hai
Aise toh koi bhi milta kahaan hai
Jaise mujhko tu mila
[Pre-Chorus: Hansika Pareek & Vishal Mishra]
Tumhare sang jo bhi mila hai
Ab ek pal bhi khona nahi hai mujhe
Tumhare sang raaton mein jag ke
Dekhu tumhe, bas sona nahi hai mujhe
[Chorus: Vishal Mishra]
Tum ho toh sab achha hai, tum ho toh waqt thama hai
Tum ho toh yeh lamha hai, haan, iss mein hi toh sadaa hai
[Post-Chorus: Vishal Mishra]
Tum ho toh
Jo tum ho toh, jo tum ho toh
Tum ho toh, tum hi tum hoh
[Outro: Vishal Mishra]
Mm-mm-mm-mm-mm-mm
Mm-mm-mm-mm-mm-mm
Mm-mm-mm-mm-mm-mm-mm
Mm-mm-mm-mm-mm-mm