Sky Force

Sky Force

Superhit Movie

Directed by Sandeep Kewlani

Music by

Songs: Tanishk Bagchi
Score: Justin Varghese

Produced By Jyoti Deshpande, Amar Kaushik, Bhaumik Gondaliya, Dinesh Vijan

Song List

Song: Ae Mere Watan Ke Logon
Song by Lata Mangeshkar
Lyricist: Pradeep

Aa Aa Aa Aa…

 

Aye Mere Watan Ke Logon

Tum Khoob Laga Lo Naara

Yeh Shubh Din Hai Hum Sabka

Lehra Lo Tiranga Pyara

 

Par Mat Bhulo Seema Par

Veeron Ne Hai Praan Gawaye

Kuchh Yaad Unhe Bhi Kar Lo

 

Kuchh Yaad Unhe Bhi Kar Lo

Jo Laut Ke Ghar Na Aaye

Jo Laut Ke Ghar Na Aaye

 

Aye Mere Watan Ke Logon

Zara Aankh Mein Bhar Lo Paani

Jo Shahid Hue Hain Unki

Zara Yaad Karo Kurbani

 

Aye Mere Vatan Ke Logon

Zara Aankh Mein Bhar Lo Paani

Jo Shahid Hue Hain Unki

Zara Yaad Karo Kurbani

 

Jab Ghaayal Hua Himalaya

Khatre Mein Padi Aazadi

Jab Tak Thi Saans Lade Woh

Jab Tak Thi Saans Lade Woh

 

Phir Apni Laash Bichha Di

Sangeen Pe Dhar Kar Matha

So Gaye Amar Balidani

 

Jo Shahid Hue Hain Unki

Zara Yaad Karo Kurbani

 

Jab Desh Mein Thi Diwali

Woh Khel Rahe The Holi

Jab Hum Baithe The Gharon Mein

 

Jab Hum Baithe The Gharon Mein

Woh Jhel Rahe The Goli

 

The Dhanya Jawan Woh Apne

Thi Dhanya Woh Unki Jawani

Jo Shahid Hue Hain Unki

Zara Yaad Karo Kurbani

 

Koyi Sikh Koyi Jaat Maratha

Koyi Sikh Koyi Jaat Maratha

Koyi Gurkha Koyi Madrasi

Koyi Gurkha Koyi Madrasi

 

Sarhad Par Marne Wala

Sarhad Par Marne Wala

Har Veer Tha Bharatvasi

 

Jo Khoon Gira Parvat Par

Wo Khoon Tha Hindustani

Jo Shahid Hue Hain Unki

Zara Yaad Karo Kurbani

 

Thi Khoon Se Lat-Phat Kaaya

Phir Bhi Banduk Utha Ke

Das Das Ko Ek Ne Maara

Phir Gir Gaye Hosh Gawa Ke

 

Jab Ant Samay Aaya Toh

 

Jab Ant Samay Aaya Toh

Keh Gaye Ke Ab Marte Hain

Jab Ant Samay Aaya Toh

Keh Gaye Ke Ab Marte Hain

 

Khush Rehna Desh Ke Pyaron

Khush Rehna Desh Ke Pyaron

Ab Hum Toh Safar Karte Hain

Ab Hum Toh Safar Karte Hain

 

Kya Log The Woh Deewane

Kya Log The Woh Abhimani

Jo Shahid Hue Hain Unki

Zara Yaad Karo Kurbani

 

Tum Bhool Na Jao Unko

Isliye Kahi Yeh Kahaani

Jo Shahid Hue Hain Unki

Zara Yaad Karo Kurbani

 

Jai Hind Jai Hind Ki Sena

Jai Hind Jai Hind Ki Sena

Jai Hind Jai Hind Jai Hind

Song: Kya Meri Yaad Aati Hai
Song by Irshad Kamil, Tanishk Bagchi, and Vishal Mishra

Bikhra hoon main toh hawa mein

Nazar na aaunga

Khushbu banke tujhko

Kabhi chhoo jaunga

 

Mauka jo mila toh

Mita jo faasla toh

Main baaton mein yeh baatein

Launga

 

Kya meri yaad aati hai

Kya raaton ko jagati hai

Tujhe main poochna chahun

Kya meri yaad aati hai

 

Kya meri yaad aati hai

Hansati hai rulati hai

Tujhe main poochna chahun

Kya meri yaad aati hai

 

O meri jaan bhi tu

Main yeh sajda karun

Rabba dilse yeh nikli dua hai

Jahan yaar mera wahan pyar mera

Tu leja mujhe ya tu khabar de

 

O rabba meri dil se yeh nikli dua hai

Tu leja mujhe mera woh pyar jahan hai

Ho mera yaar jahan hai jaan wahan

Ab jiyein toh jiyein kaise?

 

Woh ek almari jo

Kamre mein baayen hain

Rakhe hain usmein kuch nishaan

 

Tasveer meri koi

Chupke se kanon mein

Bolegi ab main hoon kahan

 

Yeh bhi toh sach hai main door hoon ab

Haan main zara sa majboor hoon ab

Baatein kitni dil mein baaki hain

 

Kya meri yaad aati hai

Kya raaton ko jagati hai

Tujhe main poochna chahun

Kya meri yaad aati hai

 

Kya meri yaad aati hai

Hansati hai rulati hai

Tujhe main poochna chahun

Kya meri yaad aati hai

 

Meri jaan bhi tu main yeh sajda karun

Rabba dilse yeh nikli dua hai

Ke jahan yaar mera wahan pyar mera

Tu leja mujhe ya tu khabar de

 

Ho rabba meri dil se yeh nikli dua hai

Tu leja mujhe mera woh pyar jahan hai

Ho mera yaar jahan hai jaan wahan

Ab jiyein toh jiyein kaise?

 

Aankhein teri batati hain

Ke meri yaad aati hai…

 

Meri jaan bhi tu main yeh sajda karun

Rabba dilse yeh nikli dua hai

Ke jahan yaar mera wahan pyar mera

Tu leja mujhe ya tu khabar de

 

Aankhein teri batati hain

Ke meri yaad aati hai…

Song: Rang
Song by B Praak, Manoj Muntashir, and Tanishk Bagchi

Intro

 

I want you

Let′s get along

I want you

Let’s get along

 

Verse

 

Haan, mere haathon mein hai haath tera

Haan, toh kya maangun re

Haan, tere sang dekhne ko savera

Main raatein jaagun re

 

pre-chorus

 

Meri tu hi zameen, aasmaan mera (hey)

Teri aankhein bani aaina mera (hey)

Tere bin toh jahaan mein kisi ko mera na maanun re

 

Chorus

 

Main toh rang gaya rang tere, baanware

Jaaun sadke tihaare, mere saanware

Ho, main toh jhoom-jhoom ke gaaun re

Main toh jhoom-jhoom ke gaaun re

Main toh rang gaya rang tere, baanware

Jaaun sadke tihaare, mere saanware

Ho, main toh jhoom-jhoom ke gaaun re

Main toh jhoom-jhoom ke gaaun re

hook

I want you

Let′s get along

 

Verse

 

Qisse-kahaani mere tumse hi hote poore

Sunaane jo hum baithe, jaayeinge din bathere

Dil jo yeh tera hai mera basera

Tu hi toh hai mera jahaan

 

pre-chorus

 

Meri tu hi zameen, aasmaan mera (hey)

Teri aankhein bani aaina mera (hey)

Tere bin toh jahaan mein kisi ko mera na maanun re

 

Chorus

 

Main toh rang gaya rang tere, baanware

Jaaun sadke tihaare, mere saanware

Ho, main toh jhoom-jhoom ke gaaun re

Main toh jhoom-jhoom ke gaaun re

Main toh rang gaya rang tere, baanware

Jaaun sadke tihaare, mere saanware

Ho, main toh jhoom-jhoom ke gaaun re

Main toh jhoom-jhoom ke gaaun re

hook

I want you

Let’s get along

 

bridge           

 

Main toh jag nu bhulake, hoke yaar da phira

Chahe lutt-putt jaana, hoke pyaar da phira

Mere yaar te nihal hoke, udta gulaal hoke

Uski hi nazrein utaar da phiraan

Main toh jag nu bhulake, hoke yaar da phira

Chahe lutt-putt jaana, hoke pyaar da phira

Haan, mere yaar te nihal hoke, udta gulaal hoke

Uski hi nazrein utaar da phiraan

 

Outro

 

Main toh rang gaya rang tere, baanware

Jaaun sadke tihaare, mere saanware

Ho, main toh jhoom-jhoom ke gaaun re

Main toh jhoom-jhoom ke gaaun re

Song: Tu Hain Toh Main Hoon
Song by B Praak, Manoj Muntashir, and Tanishk Bagchi

Subhe subhe subhe subhe teri yaadein

Subhe subhe subhe subhe din bana de

Tu meri kheedkiyo pe bikhre din banke

Tu mujhpe dhoop sa hai girta chan chan ke

Chhan chhan ke

 

Tu ishq hai toh main baahon mein hoon

Baahon mein hoon toh panaahon mein hoon

Kajal hoon toh main nigahon mein hoon

Tu hain toh main hoon

 

Kasme vaade kyun tu hain toh main hoon

Bas main tera hoon tu hain toh main hoon

Seene pe likh loon tu hain toh main hoon

Tu hain toh main hoon

 

Ek mutthi khwahishon ki tere aage khol ke

Zindagi bhar chup rahoonga baatein dil ki bol ke

Na tere saaye pe bhi aaye koi aanch dua maangoon

Main sadke main tere apni khushi de doonga tol ke

 

Tu rang mein, teri pehchaan hoon

Pehchaan hoon, main teri jaan hoon

Main koi tera hi armaan hoon

Tu hain toh main hoon

 

Jhoothe Judaiyan

Jhoothe  bichhode

Yaad kisi ka haath na chhode

Yaad kahe yeh humse aksar

Tu hain toh main hoon

Song: Maaye
Song by B Praak, Manoj Muntashir, and Tanishk Bagchi

Teri zameen se hum sar utha ke chale

Humein hans ke vida kar maa

Laal hain hum tere yaad karna humein

Dhol-tashe baja kar maa

 

O maaye teri mitti bulaye toh

Yeh duniya chhod ke aa jayein

Tu jo aawaz lagaye toh

Tiranga odh ke aa jayein

 

O maaye tere kaam nahi aaye

Toh phir bekaar jawani hai

Bahayein khoon teri khatir

Jitna ganga mein paani hai maa

 

Agar jaan jaati hai toh jaaye

Jaaye re maai kabhi teri aan na jaye re

Jala denge apni hum chitayein

Tujhpe o maai kabhi koi aanch na aaye re

 

Tu mere liye main tere liye

Tere hi rahe mare ya jiyein

Tere hi nagme gaaye

Jaate jaate maai re

 

O maaye teri mitti bulaye toh

Yeh duniya chhod ke aa jayein

Tu jo aawaz lagaye toh

Tiranga odh ke aa jayein maa

 

Zara dheere-dheere loriyan gaa

Jaise teri god mein aayi hai maa

Aayegi aesi meethi si neend kahan

 

Kadmon mein tere hum hue hain fanna

Maai teri mehar jo humko chuna

Hoti hai har ek wardi shaheed kahan

 

Maaye yeh dua toh har sipahi

Rab se karta hai

Jaise hum mare hain desh par

Yoon kaun marta hai haye

 

Meri khusnaseebi hai yeh maaye

Teri galiyon mein

Hawa meri raakh udaye re

 

Tu mere liye main tere liye

Tere hi rahe mare ya jiyein

Tere hi nagme gaaye

Jaate jaate maai re

 

O maai teri mitti bulaye toh

Yeh duniya chhod ke aa jayein

Tu jo aawaz lagaye toh

Tiranga odh ke aa jayein

 

O maaye tere kaam nahi aaye

Toh phir bekaar jawani hai

Bahayein khoon teri khatir

Jitna ganga mein paani hai maa

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top